Friday, December 26, 2008

Woh kuch aur baat thi

Woh kuch aur baat thi

Kabhi Hum bhi the deewane, 
woh kuch aur baat thi
Humse hi the jamane,
woh kuch aur baat thi
Hum jab bhi hawaon se
kahte the dil ki baaten
Ban jaate the fansane,
woh kuch aur baat thi
Hum aanh agar bharte,
pighalta tha aasman,
Barsaat ke bahane,
woh kuch aur baat thi
Roothe kabhi jo rahte the 
Hum apne aap se,
Aata Khuda manane,
woh kuch aur baat thi
Chheda jo saaj-e-dil to
goonjti thi vadiyan,
gati phijan tarane,
woh kuch aur baat thi
Jab jikr humse hota tha 
meena-o-jam ka,
Zoom uthate the maikhane
woh kuch aur baat thi
Humse shuru humeepe khatam
hoti thi kabhi 
Duniya ki dastane
woh kuch aur baat thi
Naaj apne uthata tha jahan 
aur aaj hum 
Jeete hain gam uthane,
woh kuch aur baat thi
Ae 'Ruh', ye Gazal to hui
beeta hua kal,
Kal kya ho kaun jane
woh kuch aur baat thi

1 comment:

Unknown said...

wow nice thing!!!!!!!!