Tuesday, December 23, 2008

Ek Anjana Rasta

Yeh kaisa raasta hai, yeh kaisi dagar hai, manzil hi nahi milti, yeh kaisa safar hai. Har shaqs uljha hua hai apni jadd-o-jahad mein, auron ki khabar hai na hamein khud ki fikar hai. Fursath hi nahi kisi ko jo dekhle hume gaur se, unke ghar ka raasta, kiski raah-guzar hai. Shikwa aur shikayat hum bhala kisi se kyon kare, char din ki zindagi hai, jo badi mukhtasar hai... .

No comments: