Saturday, January 10, 2009

Some Latest Shayari

कोई दीवाना कहता है कोई पागल समझता है

मगर धरती की बेचैनी को बस बादल समझता है,

मैं तुझसे दूर कैसा हुँ तू मुझसे दूर कैसी है

ये मेरा दिल समझता है या तेरा दिल समझता है !!!


—-

समुँदर पीर का अंदर है लेकिन रो नहीं सकता

ये आसुँ प्यार का मोती है इसको खो नहीं सकता ,

मेरी चाहत को दुल्हन तू बना लेना मगर सुन ले

जो मेरा हो नहीं पाया वो तेरा हो नहीं सकता !!!


—-

मुहब्बत एक एहसानों की पावन सी कहानी है

कभी कबीरा दीवाना था कभी मीरा दीवानी है,

यहाँ सब लोग कहते है मेरी आँखों में आसूँ हैं

जो तू समझे तो मोती है जो न समझे तो पानी है !!
!

—-

भ्रमर कोई कुमुदनी पर मचल बैठा तो हँगामा

हमारे दिल में कोई ख्वाब पला बैठा तो हँगामा,

अभी तक डूब कर सुनते थे हम किस्सा मुहब्बत का

मैं किस्से को हक़ीक़त में बदल बैठा तो हँगामा !!

Saturday, January 3, 2009

Latest ChutKule just for you !!

Doctor: Ab aapki tabiyat kaisi hai ?

Patient: Doctor saheb.. Pahle se jyada kharab ho gayi hai.

Doctor: dawai khali thi kya ?

Patient : Nahi doctor saheb. Dawai ki shishi to bhari hui thi.

Doctor: Arey... mere kahne ka matlab hai ki, dawai le li thi kya.

Patient: Ji, aapne dawai de di thi aur Maine le li thi.

Doctor: Abe, dawai pili thi kya ?

Patient: Oho, nahi doctor saheb dawai to laal thi.

Doctor: Abe GADHE, Dawai KO piliya tha kya ?

Patient : Nahi. Doctor, Piliya to mujhe tha.

Doctor: Abe Teri to, Dawai KO muh lagakar Pet me dala tha k nahi ?

Patient: Nahi doctor saheb.

Doctor: Kyon ?

Patient: Kyonki dhakkan band tha.

Doctor: Teri to sale, to Khola kyon nahi.

Patient: Saheb, aapne hi to kaha tha ki, shishi ka dhakkan band rakhna.

Doctor: Tera ilaaz main nahi kar sakta !

Patient: Accha Doctor saheb ye to bata do ki main thik kaise hounga

Doctor : Abe teri ....

Latest ChutkuleLatest Chutkule

Naukarani Ne Sushila Se Kaha, Memsahab Gajab Ho Gaya.
Pados Ki Teen Auraten Aap Ki Saas Ko Peet Rahi Hain.

Sushila Naukarani Ke Sath Balakani Se Aayi Aur Chupchap
Tamasha Dekhane Lagi.Naukarani Ne Pucha, Aap Madad
Karane Nahi Jayengi ?

Sushila - Nahi Teen Hi Kaafi Hain.

Latest Chutkule
Latest Chutkule
Wife: Ji apko mujhme kya achha lagta hai meri samajhdari ya meri beauty..

Husband: Mujhe to ye tumhari Majak karne ki aadat bahut achchhi lagti hai..


Latest Chutkule
Latest Chutkule
Police ne raat ke 1 baje sharab ke nashe mein

tunn ek aadmi ko pakad kar puchha..

Raat ke ek baje tum Kahan ja rahe ho..?

Aadmi - Main sharab peene ke dush parinaam

per lecture sunne ja raha hun...

Police - Itni raat mein tumhe kaun lecture dega..?

Aadmi - Mere biwi.....

Latest Chutkule
Latest Chutkule

Friday, January 2, 2009

Mast Shayari

कभी उनकी याद आती है कभी उनके ख्व़ाब आते हैं
मुझे सताने के सलीके तो उन्हें बेहिसाब आते हैं

कयामत देखनी हो गर चले जाना उस महफिल में
सुना है उस महफिल में वो बेनकाब आते हैं

कई सदियों में आती है कोई सूरत हसीं इतनी
हुस्न पर हर रोज कहां ऐसे श़बाब आते हैं

रौशनी के वास्ते तो उनका नूर ही काफी है
उनके दीदार को आफ़ताब और माहताब आते है

Friday, December 26, 2008

Woh kuch aur baat thi

Woh kuch aur baat thi

Kabhi Hum bhi the deewane, 
woh kuch aur baat thi
Humse hi the jamane,
woh kuch aur baat thi
Hum jab bhi hawaon se
kahte the dil ki baaten
Ban jaate the fansane,
woh kuch aur baat thi
Hum aanh agar bharte,
pighalta tha aasman,
Barsaat ke bahane,
woh kuch aur baat thi
Roothe kabhi jo rahte the 
Hum apne aap se,
Aata Khuda manane,
woh kuch aur baat thi
Chheda jo saaj-e-dil to
goonjti thi vadiyan,
gati phijan tarane,
woh kuch aur baat thi
Jab jikr humse hota tha 
meena-o-jam ka,
Zoom uthate the maikhane
woh kuch aur baat thi
Humse shuru humeepe khatam
hoti thi kabhi 
Duniya ki dastane
woh kuch aur baat thi
Naaj apne uthata tha jahan 
aur aaj hum 
Jeete hain gam uthane,
woh kuch aur baat thi
Ae 'Ruh', ye Gazal to hui
beeta hua kal,
Kal kya ho kaun jane
woh kuch aur baat thi

Tuesday, December 23, 2008

Ek Anjana Rasta

Yeh kaisa raasta hai, yeh kaisi dagar hai, manzil hi nahi milti, yeh kaisa safar hai. Har shaqs uljha hua hai apni jadd-o-jahad mein, auron ki khabar hai na hamein khud ki fikar hai. Fursath hi nahi kisi ko jo dekhle hume gaur se, unke ghar ka raasta, kiski raah-guzar hai. Shikwa aur shikayat hum bhala kisi se kyon kare, char din ki zindagi hai, jo badi mukhtasar hai... .

Monday, December 22, 2008

Dooriyan Shayari

Dooriyan

Ye saja hai kis khata ki

Aapki ye dooriyan

Hai pareshani bala ki

Aapki ye dooriyan

Raatbhar jalti rahi par

Aaya parwana nahin

Haye re kismat shama ki

Aapki ye dooriyan

Imtihan hai sabra ka ye

Aur junoon ki inteha

Ho na rusvai vafa ki

Aapki ye dooriyan

Kaise bhar sakte hain woh

jo jakhm phoolon se mile

chot jaise ho hawa ki

Aapki ye dooriyan

'Ruh' dar hai ke kayamat

Aa na jaye samne

jaise aahat ho kaja ki

Aapki ye dooriyan

Sunday, December 21, 2008

Dard bhari shikayat


शिकायत

ए सनम तुझसे ही करते हैं शिकायत तेरी

हमको बर्बाद न कर दे कहीं चाहत तेरी
हम तो बस शाम-ओ-सहर याद तुझे करते हैं
बेवफा तू है, भूल जाना है आदत तेरी
ले गया छिनके तू मुझसे मेरा सबर-ओ-करार
फिर भी ये दिल है की करता है इबादत तेरी
तेरे बंदे हैं, तुझे अपना खुदा मानते हैं
अपनी हर सांस को समझा है इनायत तेरी
दिल तेरा, हम भी तेरे, जान तेरी, रूह तेरी
दिल की धड़कन भी मेरे पास अमानत तेरी
मैं ही तुझमें हूँ और तू ही बसा है मुझमें
'रूह' तुझसे ही करें कैसे शिकायत तेरी ?