Dooriyan
Ye saja hai kis khata ki
Aapki ye dooriyan
Hai pareshani bala ki
Aapki ye dooriyan
Raatbhar jalti rahi par
Aaya parwana nahin
Haye re kismat shama ki
Aapki ye dooriyan
Imtihan hai sabra ka ye
Aur junoon ki inteha
Ho na rusvai vafa ki
Aapki ye dooriyan
Kaise bhar sakte hain woh
jo jakhm phoolon se mile
chot jaise ho hawa ki
Aapki ye dooriyan
'Ruh' dar hai ke kayamat
Aa na jaye samne
jaise aahat ho kaja ki
Aapki ye dooriyan
Ye saja hai kis khata ki
Aapki ye dooriyan
Hai pareshani bala ki
Aapki ye dooriyan
Raatbhar jalti rahi par
Aaya parwana nahin
Haye re kismat shama ki
Aapki ye dooriyan
Imtihan hai sabra ka ye
Aur junoon ki inteha
Ho na rusvai vafa ki
Aapki ye dooriyan
Kaise bhar sakte hain woh
jo jakhm phoolon se mile
chot jaise ho hawa ki
Aapki ye dooriyan
'Ruh' dar hai ke kayamat
Aa na jaye samne
jaise aahat ho kaja ki
Aapki ye dooriyan
No comments:
Post a Comment