Sunday, July 27, 2008

Shayari for dost



  • Dosti achchi ho toh rang laati hai,
    Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
    Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
    Par agar dosti apne jaisi ho….
    …. Toh itihaas banaati hai !

  • Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
    Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
    Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
    Ab tumse kya chhupaana,
    Tum hi toh ho jaan hamaari !

  • Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
    Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
    Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
    Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

  • Zindagi nahin humein doston se pyaari,
    Doston pe haazir hai jaan hamaari,
    Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
    Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

  • Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
    Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
    Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
    Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

  • Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
    Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
    Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
    Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !

  • Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
    Dost ek aaina hai armaano ke liye,
    Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
    Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye Music!!

  • Raatein gumnaam hoti hai,
    Din kisike naam hota hai,
    Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
    Ki har lamha doston ke naam hota hai !
  • Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
    Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
    Hai meri dosti mein itna dum,
    Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!
  • Aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
    Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! … Music For यू
  • **Sab ne kaha dosti ek dard hai humne kaha ke dard kabool hai sub ne kaha dard ke sahare reha na paooge hum ne kaha ke dosti ke sahare marna kabool haiii**~~
  • ऐसा दोस्त चाहिए जो हमे अपना मान सके, जो हमारे दिल को जान सके, चल रहे है हम तेज़ बारिश मे, फिर भी पानी मे से आँसुओ को पहचान सके!!!!
  • fer ohi gam, ohi sham te sharab ohi, purani yaad ohi, ik din aiwe sajjan mil baithe, khuli mohobat di purani kitab ohi, nazran tak ke usnu takdiya reh gayiaa, dilkash hasina da katil andaaz ohi, “LADDI” marjana aiwe hi puch baitha sawal ik। mera sawal ohi te ohda jawab ohi...
  • Kya kahen ki kuch kaha nahi jaata,Dard meetha hai par saha nahi jaata,Dosti hogayi hai iss kadar aapse ki,Bina msg kiye aapko raha nahin jaata…
  • fer ohi gam, ohi sham te sharab ohi, purani yaad ohi, ik din aiwe sajjan mil baithe, khuli mohobat di purani kitab ohi, nazran tak ke usnu takdiya reh gayiaa, dilkash hasina da katil andaaz ohi, “LADDI” marjana aiwe hi puch baitha sawal ik। mera sawal ohi te ohda jawab ohi...
  • Tere paas hi main aa raha hoon Apni baahein khol de Zor se mujhko gale laga le Mujhko phir voh pyaar de Tu hi zindagi hai, tu hi meri mohabbat hai Tere hi pairon mein jannat hai Tu hi dil, tu jaan, amma Maa tujhe salaam, maa tujhe salaam Amma tujhe salaam, maa tujhe salaam Vande maataram, vande maataram Vande maataram, vande maataram Vande maataram, vande maataram Vande maataram, vande मातरम
  • आम आदमी पर पड़ी मंहगाई की मार|
    वो भी एक दम शांत हो सहता अत्याचार|
    सहता अत्याचार और अब कोई न चारा|
    दो पाटों के बीच में पिसता है बेचारा|
    बस हिसाब ही करता रहता छोड़ छाड़ सब काम|
    आम आदमी बन गया चूसा हुआ एक आम|

No comments: